Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Monday, June 07, 2010

Razey dil tujhko sunaaye tamaam

Razey dil tujhko sunaaye tamaam
Teri baatein faqat sunaaye tamaam

Tujhhe bhool ja-uun mumkin nahin
Dil jinsey aashna hai tamaam
...
Ta umr jinsey mohabbat kee
rubaru hoon kyun khamoshi tamaam
 Arnab Sinha 'Raj'  has been my childhood pal, i mean since class 6th i remember, and he's my true initiation and inspiration and partner in writing a few ghazals we wrote by name of 'Ufaq' u can see in few of my posts during our 10th to 10+2.. now that he's far from me in another city but so close still to my heart, we've always been our alter ego.. he taught me abcd of music and how to play hormonica, and the funda of beats or taal in music.. and he always is my ideal in ideology being honest in life to ur work and people around u... love u dude..
 Tujhse juda kabhi hua hi nahi
 bekhayali me bhi tere saath raha
ab to yu hai ke guzare umar saath
aur khudaya akhiri manzil ek si ho..
- a few lines from my heart for u my dear friend. (Dr Shamsul Hoda 'Ufaq')

Tuesday, May 25, 2010

Mere Saath Saath Chalna

Mere har kadam pe Humdum
Mere saath saath chalna
Kabhi mushkilein jo ayein
Mera hath thame rahna

Jo koi kami ho mujhme
Mujhe pyar se samajhna
tere pyar ke sahare
meri zindagi hai mumkin

Kabhi aag pe chalu main
Meri dhal ban ke rahna
kabhi thak jo jaun main gar
Mere hauslon me rahna

Bas ek junoon hai dil me
mera naam ho falak pe
Tere pyar ke sahare
Mujhe taron ko hai chuna

Mere saath yu hi rahna
Mujhe sans dete rahna
Tere pyar ke sahare
Yuhi zindagi guzarun...

- Ufaq ( Dr Shamsul Hoda )

Sunday, February 28, 2010

Kyu pyar karte ho tum ..


Bookmark and Share 
Kyu pyar karte ho itna
mujhse tum itna batao
ki ek pal bhi tum bin
ji nahi pata hu main


meri har ek sans mein
kyu hai bas teri hi khusbu
har dua me sajda me

sirf teri hi tamanna 


ho na jaun main kahi
har kisi se door ab
rasta bhatak na jaun kahi
tere khayal me itna hu gum


jaam jitna bhi bhar lu
paimane me main magar
khumar chadhta hi nahi
tere gaibane me


kya karu kuch to bata
deewana main ban sa gaya
koi bhi ho saamne
baat karta tum se hu


kyu pyar itna ho karte
ab to aa ke bol do
zindagi ki raat me
ab sehar mujhko bhi do..


















Tuesday, January 19, 2010

Tere pyar ke sahare

Bookmark and Share

Tere pyar ke sahare zindagi guzar du
Tu jo kahe to har sans tujh pe war du
Teri angrai, teri muskan, tumhari sansein
Meri tanhai ki lau in se hi roshan hai
Ye wo yadein hai jo saja ke har pal
Teri aas me jita hu, tuhjhse pyar karta hu
Tere naam ye zindagi kar ke humdum
Ye janam, har janam, sab  ji liya..

Kab talak bhatkaoge



Bookmark and Share

Kab talak bhatkaoge tanhaiyon me tanha tanha,
Ab to deewangi bhi thak gayi intezar me
Teri yadon se guftagu karta hun sadiyon se main
Mere kismat ke lakiro pe naam apna likh do
Zindagi ab tere naam hai kah lo kuch bhi
Apne anchal ke saye me do mujhko panah

Monday, September 07, 2009

Tanhai

Bookmark and Share


Ghame tanhai na hoti to kya hota,
Gham na hota to aur bhi tanha hota...
Gham hi to hai jisne har pal apna samjha,
warna khushiyon ke jafa me yu hi bikhra rahta....
pighalti shama ne pucha yu bikhre kyu ho
bola main, roshan ho gar itna to pighalte kyu ho...
dhalte "Ufaq"(suraj) ne kaha mujhse yu ghamghin kyu ho
kaha maine, bolo roz dhalte kyu ho....

Tuesday, June 20, 2006

Tere talabgar hum na the...


Tere talabgar hum na the
Hamnawa tere hum na the
Phir bhi kho ke tumhe
Kyu base ho mujh me tum
Paun tumhe chaha na tha
Chahun tumhe socha na tha
Pa ke tumhe kho na saka
Paya nahi, kho na saka
Kyu ab bhi yaad ate ho
Kyu neendo se jagate ho
Kyu Ankhon me base ho tum
Man me, tan me kyu ho tum
Jaun tum se door kahan
Mere rahnuma ho tum
Daman churaun kis tarah
Nazrein bachaun kis tarah
Meri dhadkanein teri tarah
Teri justaju meri dastan
Tere naam shabe hijr hai
Mere ashq ki zuban ho tum
-Dr S Hoda 399-B, Sarita Vihar New Delhi, 11:16 pm 20.06.2006

Tune Tan Man Me...


Tune tan man me
Yu utara hame
Dil ki dhadkan se
Itna chaha hame
Kuch adhura hai
Jism kahli hai
Tum gaye jab se
Kuch le gaye mujh se
Main wahi pe hu
Ab bhi zinda hun
Aankh pyasi hai
Ek jhalak de do
Teri ahat hai
Koi bhi aaye
Teri khushbu hai
Har jagah tum ho
Kash tum aao
Sans baki hai
Kafan pe mere
Hath rakh jao
 Mana ulfat me
Befawa main hun
Pyar kho kar bhi Bas tumhara hun…
-Dr S Hoda {Shams} 15/06/06 - 4pm Apollo OT

Wednesday, March 01, 2006

Tere naam kar diya

Zindagi ka har simt,
Aye Kashish humne aaj tere naam kar diya
Phulon ko, hawaon ko, humne ye paigam de diya
Aaj ki raat, ya to mila de hamein
ya fana kar de...
Shama ne ne khud jal ke,
parwane ke jumbish ko salaam kar liya
Paun tumhe, zindagi ki tamanna hai meri
Chu kar labon ko mere, tune ye kam bhi anjaam kar diya
Mere kabr pe do aansoo gira ke tumne
Aaj phir mere pyar ko badnaam kar diya..
  -"Ehsas" Dr S Hoda

Thursday, February 23, 2006

Sehar hone ko hai


Sehar hone ko hai,
gar aftab intezar kar le
khwab me hum tumhe kuch waqt aur pyar kar le
Khwahish hai ke sine me bhar le tumko
Koi aur parwana na tumse pyar karle
Raunak dek kar shamma bhi jal gayi tumse
Hajate raushan nahi, aye shamma intezar kar le
Pyar ki tumhare har waqt zarurat hai mujhe
Bahon me tumhe aao giraftar kar le
-"Ufaq" Dr S Hoda & Arnab Raj

Wednesday, February 22, 2006

Zaruri Nahi

Har baat ko kahna zaruri nahi,
Labe khamosh ka kanpkapana kya kafi nahi
Aankhon ne tumse ye kaha to tha
Dhadkano ne unko suna ke nahi
Paun tumhe ye zaruri nahi
Kho kar jo paya wo kam to nahi
Tumhe zindagi me basaya hai maine Zinda rahu ye zaruri nahi
  "Ehsas"- Dr S Hoda

Sunday, February 19, 2006

Lamhe

Guftagu aap se kar payein to achcha ho
Khwab me hi sahi gar aap ayein, to achcha ho
Zindagi me aap hi hain, ye malum hai hamein
Ye Lamha aap ke sath ho, to achcha ho 
Aap hi honge nigahon me, shabe-kohbar me
Surat abhi dikha jayein, to achcha ho
Umar bhar mohabbat nibhane ke liye
Intahye-Ishq dikha jayein, toachcha ho...
 -"Ehsas" Dr S Hoda

Friday, February 17, 2006

Kho diya tumne


Mujhe pa ke bhi,
Kho diya tumne
Jiteji fana kar diya tumne
Zinda rah kar bhi ji na saka
Maut manga par milti nahi
Mujhe gham diya, shukriya tera
Chahat ka haq ada kiya tumne
Tune jo zakhm diya, tohfa-e mohabbat hai mere
aankhon ke ashq, teri enayat hai Nigahon se sahi,
chum lo ek bar mujhe Pa na saka,
pane ka tasauwar to de do
Ek muskurahat mere naam kar do
Main har sans tere naam kar dun
Itna na girao nazron se mujhe
Ke ji na paun apne bojh tale
Sans lene ka na sahi
Ek baar pyar karne ka haq de do mujhe...
 -"Ehsas" {Dr S Hoda}

Kashish

Aye Kashish sun le zara, mere dil ki dastan
Ek ankahe se pyar ki gumshuda si dastan
Jab se tumne hai chua, gum hu main madhosh hun
Pa kar tumhe na pa saka, kho kar tumhe na kho saka
Jab se duba hun, teri ankhon ki gahrai me
Kya hai jina kya hai marna, phirta hun tanhai me
Kuch kaho tum kuch suno, is bebasi ki dastan
Sanson ki awargi ko dhadkano ko chu lo tum
Kash main kah pata tum se, tu hi mera pyar hai
Jhuta sahi ek baar kah do, tum ko mujh se pyar hai...
 - "Ehsas" Dr S Hoda

Monday, February 13, 2006

Dushmano ka zamana hai

Sitare bhi niharte hain aapko
ke dusmano ka zamana hai
dushman mere ek nahi faqat
dushmano ka zamana hai
Deedar kare kya aapka
jo parda kiya hai aapne
ye aanchal bhi bane hain beraham
dushmano ka zamana hai
Seene me bhar liye kuch aur paas aa jate
ye duri bhi lage hai beraham
dushmano ka zamana hai
Nazar utarun jab aapka rukh to dekhna hoga
ye nazar na laga de nazar dushmano ka zamana hai...
 "Ufaq" {Dr S Hoda & Arnab Raj}

Chehra Tera...

Palkein jo band hui kabhi,
dikhe chehra tera,
Khwab jo dekha kabhi,
dikhe chehra tera,
Mohabbat me mujhe ye kayam mila,
Jise bhi dekhu, dikhe chehra tera..
Khwab me gar tum raho, khuda kare qayamat ho,
khwahish yahi hai khuda se,
dikhe chehra tera..
Kafan taan ke jab so jayenge hum,
Yahi hai dua khuda se,
dikhe chehra tera..
 -"Ufaq" {Dr S Hoda & Arnab Raj}

Saturday, February 11, 2006

Ab Ek Sans Hi Baki Hai...

Bemani si hai zindagi
Ajnabi hai har koi
Bikhra bikhra sa rahta hun
Tanha tanha main phirta hun...
Chahat ke pal bhi ayenge
Is ummid pe jeeta hun
Phir sham hone ko hai
Raat phir dhal jayegi...
Ek dhundhla chehra tha aankhon me
Palko me pighal gaya kahin
Ab to raat hi saathi hai
Ab ek sans hi baki hai...
 -"Ehsas" {Dr S Hoda}