Tuesday, June 20, 2006

Tere talabgar hum na the...


Tere talabgar hum na the
Hamnawa tere hum na the
Phir bhi kho ke tumhe
Kyu base ho mujh me tum
Paun tumhe chaha na tha
Chahun tumhe socha na tha
Pa ke tumhe kho na saka
Paya nahi, kho na saka
Kyu ab bhi yaad ate ho
Kyu neendo se jagate ho
Kyu Ankhon me base ho tum
Man me, tan me kyu ho tum
Jaun tum se door kahan
Mere rahnuma ho tum
Daman churaun kis tarah
Nazrein bachaun kis tarah
Meri dhadkanein teri tarah
Teri justaju meri dastan
Tere naam shabe hijr hai
Mere ashq ki zuban ho tum
-Dr S Hoda 399-B, Sarita Vihar New Delhi, 11:16 pm 20.06.2006

Tune Tan Man Me...


Tune tan man me
Yu utara hame
Dil ki dhadkan se
Itna chaha hame
Kuch adhura hai
Jism kahli hai
Tum gaye jab se
Kuch le gaye mujh se
Main wahi pe hu
Ab bhi zinda hun
Aankh pyasi hai
Ek jhalak de do
Teri ahat hai
Koi bhi aaye
Teri khushbu hai
Har jagah tum ho
Kash tum aao
Sans baki hai
Kafan pe mere
Hath rakh jao
 Mana ulfat me
Befawa main hun
Pyar kho kar bhi Bas tumhara hun…
-Dr S Hoda {Shams} 15/06/06 - 4pm Apollo OT