Friday, February 17, 2006

Kashish

Aye Kashish sun le zara, mere dil ki dastan
Ek ankahe se pyar ki gumshuda si dastan
Jab se tumne hai chua, gum hu main madhosh hun
Pa kar tumhe na pa saka, kho kar tumhe na kho saka
Jab se duba hun, teri ankhon ki gahrai me
Kya hai jina kya hai marna, phirta hun tanhai me
Kuch kaho tum kuch suno, is bebasi ki dastan
Sanson ki awargi ko dhadkano ko chu lo tum
Kash main kah pata tum se, tu hi mera pyar hai
Jhuta sahi ek baar kah do, tum ko mujh se pyar hai...
 - "Ehsas" Dr S Hoda

Monday, February 13, 2006

Dushmano ka zamana hai

Sitare bhi niharte hain aapko
ke dusmano ka zamana hai
dushman mere ek nahi faqat
dushmano ka zamana hai
Deedar kare kya aapka
jo parda kiya hai aapne
ye aanchal bhi bane hain beraham
dushmano ka zamana hai
Seene me bhar liye kuch aur paas aa jate
ye duri bhi lage hai beraham
dushmano ka zamana hai
Nazar utarun jab aapka rukh to dekhna hoga
ye nazar na laga de nazar dushmano ka zamana hai...
 "Ufaq" {Dr S Hoda & Arnab Raj}

Chehra Tera...

Palkein jo band hui kabhi,
dikhe chehra tera,
Khwab jo dekha kabhi,
dikhe chehra tera,
Mohabbat me mujhe ye kayam mila,
Jise bhi dekhu, dikhe chehra tera..
Khwab me gar tum raho, khuda kare qayamat ho,
khwahish yahi hai khuda se,
dikhe chehra tera..
Kafan taan ke jab so jayenge hum,
Yahi hai dua khuda se,
dikhe chehra tera..
 -"Ufaq" {Dr S Hoda & Arnab Raj}

Saturday, February 11, 2006

Ab Ek Sans Hi Baki Hai...

Bemani si hai zindagi
Ajnabi hai har koi
Bikhra bikhra sa rahta hun
Tanha tanha main phirta hun...
Chahat ke pal bhi ayenge
Is ummid pe jeeta hun
Phir sham hone ko hai
Raat phir dhal jayegi...
Ek dhundhla chehra tha aankhon me
Palko me pighal gaya kahin
Ab to raat hi saathi hai
Ab ek sans hi baki hai...
 -"Ehsas" {Dr S Hoda}